"Rozmarrah"

This one deals with grief and trauma - from a woman's perspective. One who is caught in an endless loop - of people who never give back the love they received from her and yet she only knows how to give. And a loop of her daily routine and emotional turmoil even as the limited world that she has access to, never seems to change.

21 ka doodh, 25 ki bread, 30 ke ande ka -
Free ki gaaliyan, fokat ka bikhra hua raayta aur bin matlab ke jeene ka -

45 ki pyaaz, 15 ke aaloo, free ke dhaniya-mirchi ka -
Chimki ki 3 ladkiyaan, Sharmaji ke 2 naye pille aur Bahuria ke wahi purane 2 paise ke nakhre ka -

3 roti subah ki, 2 roti shaam ki, 1.5 chammach cheeni ke, 4 cup chai ka -
Kisi shah ka 16000 guna munafa, kisi ke panama-paradise khaatey aur Pappu ke roz sikudte dimaag ka -

7 ki chaai, 16 ki cigarette, 10 ka vada-pao ka -
Baap ka thoda sa gussa, maa ka behisaab pyaar aur Akeli budiya ke lambey intezaar ka -

Koi Hisaab nahi hota.
Koi bhi hisaab nahi hota.

Rozmarrah ki zindagi ki saazish mein - aatey jaatey aaropon mein .... ganit ka kaam nhi aata,
Zamaane ke banaye daayaron mein - bantey mithtey kanoonon mein ... teri hasti ka naam nhi aata.

Tere rozmarrah mein sawaal wahi hote hain ghoom firr ke,
Tu dhoondti hain apne bemol ektarafa pyaar ka hisaab -
Tujhe hain insaan ki fitrat ke badalne ka intezaar,
Aur inhi umeedon mein ki hain tune apni zindagi kharaab.

Fir bhi tere jeene mein - Tere dard bhare seene ke tale -
Jaane kitni masoom jaanon ne aakhon mein sapne bhare,

Aur fir tere rone mein - bin aasoon ki khaufnaak barsaat mein - bin siskiyon ke tez shor mein,
Kisi sookhe mann ki pyaas bujhti hain ab bhi, kisi beswaad jeevan ka namak ada hota hain ab bhi.

Yeh roz roz mein chhote bade kai kaam ho jaate hain -
Kuchh zakhm jism se nikal ke kismat mein lag jaate hain,
Kuchh khayal sapno se nikal ke haqeekat ban jaate hain,
Kisi ko intezaar hai nayi shuruaat ka -
Kisi ko uski anth ki talab ne le dooba hain.

P.S. Rone ka nahi.
2 line-a aur hain :

Laundon ki party ka, Disco ki entry ka, ya Dilli ki sadkon ka,
Sabka hisaab lene nikal padhta hain Rabishva paidal,
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Baap ka, Dada ka, Bhai ka -

Sabka Badla lega re tera Faizal.

Comments

Popular Posts